Rising Baby Blue Heart

Kuch Tau Hawa Bhe Sard Thi



Kuch to hawa b sard thi,kuch tha tera khyaal b
dil ko khushi k saath saath hota rha malal b,
baat wo aadhi raat ki, raat wo pooray chaand ki,
chaand wo b ain cheet ka us pe tera jamal b,
sab s nazar bacha k wo mujh ko kuch aisay dkhta,
ik dafa to ruk gai gardish e maah o saal b,
dil to chamak ske ga kya, phir b tarash k dekh lon.
Sheesha garaan e shehr k haath ka ye kamal b,
is ko na paa ske the jab dil ka ajeeb haal tha,
ab jo palat k dekhye baat thi k muhaal b,
meri talab tha aik shaks wo jo nai mila tha phir,
haath dua se yun gira,bhool gya sawaal b... :'(

 

©Copyright 2011 City Of Sms | Fm

Twitter Bird Gadget